Add Payment Method In Google Adsense Account
Google Adsense Kya Hai
Dosto Google Adsense CPC (cost-per-click) advertising program hai, jo publisher ko unaki website par Google ki ads ko lagane ka chance deta hai. Developers ko unaki website par Google Adsense ke ads ka chota sa HTML code lagana hota hai, lagane ke bad Ads dikhna start hota hai, aur jo koi bhi visitor is ads pe click karta hai uski click ka paise developer ki Adsense account me add ho jata hai. To dosto isi tarah work karta hai Google Adsense.
Google Adsense Payment Method
Dosto Google Adsense ek esay way hai blogger ko money earn karane ke liye. Jab apke account me 10$ ho jate hai to apko address verification ka letter Adsense indian post se send karta hai, apko 3-4 week ke andar letter milta hai, tab apko letter me aaya code adsense account me dalake pin verification karna padta hai. Agar aap pin verification nahi karte to apko payment nhi milega.
Jab aapke account me 10$ ho jate hai to apko Google Adsense Account me yah option dekhayi dega (Your payments are currently on hold. Action is required to release payment) jab aap is message ke action par click karate ho to apko Add Payment Method Option dekhayi dega. To apko is option pe click karake payment method ko add karana hai, vaha par apko Bank Details ki information deni padati hai. Jab tak apke google adsense account mai 100$ complete nahi hote tab tak apko payment nhi milengi aur apki payment 100$ se upar hai to, apko wo payment har month ke 21 tarikh ko apke account me release hogi.
Add Bank Details In Google Adsense Account
Step-1
1. Log In Kare Google Adsense Account Me.
2. Payment Option Ko Open Kare, Vaha Par Add Payment Method Ko Open Kare.
Step-2
1. Payment Method Me Aapke Samane Ek Form Hoga, Usame Apko Bank Details Ko Fill Karna Hai.
2. Apko In Bank Details Ko Add Karna Padta Hai. Bank Name, IFSC Code, SWIFT Code, Bank Account Number.
- Name On Bank Account - Apka Bank Account Name Dale Jo PassBook Pe Hota Hai. EXAMPLE - Rahul Sanjay Nale.
- Bank - Apke Bank Name Enter Kare. EXAMPLE - State Bank Of India.
- IFSC Code - Bank Ke PassBook Par Apko IFSC Code Milega. Aur Aap Online Bhi IFSC Code Ko Find Kar Sakate Ho.
- SWIFT Code - Apne Bank Ka SWIFT Code Pata Karane Ke Liye Yaha Click Kare>>>
- Account No - Apko Apne Bank Ka Account No Dena Hai, jo Aapki PassBook Par Likha Hota Hai.
- Confirm Account No - Phirse Usi Account No Ko Yaha Par dale.
"Note -: Apko sirf yahi 6 box ko fill karana hai, baki option ko default hi rahane do, phir direct (save) button pe click karake information ko save kare. aur add kiye bank details ko (primary method) select kare aur agar koi problem hai to comment kare."
0 Yorumlar